Powered By Blogger

Wednesday, March 18, 2009

bus yu hi 2

kya hum kisi ke liye accha kar sakte hai. mai nahi janata. hum bus wo karte hai jo humse hota rehta hai.Sahi ho ya galat ho. hum nahi janate ki hum sahi hai ya galat. hamara mind ek superpower ke under mai kaam karta hai,wohi superpower humse jaisa chahe kaam karati hai. hamere ander ki acchaiyaan or buraiyoon ko wohi janam deti hai. isliye ek waqt pe jahan hum kisi ke liye sahi hote hai toh kisi aur ke liye galat. ye hi life ka confusion hai jisse har vykati bahar hona chahata hai par ho nahi pata.hum log aksar tanhaiyoon mai bhatakkar wo kar jaate hai jiske liye hum bane hi nahi hote.Sahi-galat ka fark mehsus hi nahi kar pate.Aisa kyu hota hai, mai toh nahi janata. Mujhe toh ye mehsus hota hai jaise ki mai ek kathputli hu jo ajnabi dhuno pe naach rahi hai.Jaisa ho raha hai chalne do kya fark padta hai. Aur agar padta bhi hai toh vo bhi shanik hi padta hai.kyuki ye jeevan hi shanik hai. na isme ahankaar ke liye koi jagah hai aur na hi aham ke liye. Yahan pe har aadmi apni hasiyat ke mutabik jee raha hai.Jo apni hasiyat ko nahi samajhta hai woh parshaan rehta hai. toh sawal ye hai ki kya humne apni hasiyat ko kabhi jaana hai. haa koshish toh ki hai lekin hamesha galat hi realise kiya hai. Koi bhi apni hasiyat ko nahi janata bus jindgi ko jeene ke andaaz mai jiye jaata hai shayad yehi jindgi hai lakshyunko dhoondana aur phir unhe paana.50-50 chance hai mil bhi sakte hai aur nahi bhi koi nahi janta.toh phir kaise lakshay nerdharit kare aur kaise unhe prapt kare.mai ye bhi nahi janata. agar janta hota toh shayad aaj ye column na likh raha hota.bada confuse sa column hai bilkul meri tarah.

apne hi andar ki justjo ko jiye jaata hu,
mai har shaam befikr jiye jaata hu,
subah ka bhula hu jo shaam ko ghar
laut jata hu.

bus issise jyaada maine khud ko kabhi nahi jhela hai
ab toh apne ashq bhi piye jaata hu,
jindgi jeeni nahi aati hai mujhko
tabhi toh issse lade jaatu hu
gunah kiya nahi maine koi phir bhi kuch geet gungunata hu

No comments: