saala samajh mai nahi aata ki kya gadbad ho jaati hai, Kabhi Kabhi sab kuch sahi karne ke chakkar mai pata nahi galat kaise ho jaata hai ya phir kuch galat nahi hota, bus man mai baham sa ho jaata hai. Kya vajah hoti hai pata nahi ya phir mai hi problems ki vajah ban jaata hu. I donot know. aisa lagata hai ki ujaalo mai andhere ki taalash rahti hai.Mujhe aisa nahi karna chahiye aur shyaad karna bhi nahi chata. Kahte hai hamare andar do tarah ke kutte hote hai ek achha aur ek bura kutta. hum jise jyaada uksaate hai, hum bhi waise hi ho jaate hai. mai apne andar ke bure kutte ko marna chata hu par use maarne ke liye bhi bura banana padta hai jo shayad mai banana nahi chata.
Yes i m bad and want to continue with it. God bless me and develop my bad good-habits.bus aur kya likhu Jindgi jhand ba, phir bhi ghamand ba.
No comments:
Post a Comment