jaane takdeer kyu ruthi si dikhye deti hai, takye mai muh ko chupaye deti hai
manjil ke pass aakar jaane kyu ghabraye rahti hai
chune ki agar koshish bhi karu, jaane kyu sakpakye rehti hai
ek dard sa deti hai ya khud hi kuch sehti hai,
rishtoo ki uljhano mai ye kyu behti rehti hai
kabhi sahti hai toh kabhi kehti hai
aur kabhi confuse si rehti hai
kabhi dard ko muskurahtoo ke peeche dekhlati rahti hai
aur kabhi aankho se chupchap bahti hai
ek saawal phir mujhe se hi kahti hai
"jaane takdeer kyu ruthi si dikhye deti hai ?"
No comments:
Post a Comment