Powered By Blogger

Tuesday, January 29, 2008

kabhi

jaane takdeer kyu ruthi si dikhye deti hai, takye mai muh ko chupaye deti hai

manjil ke pass aakar jaane kyu ghabraye rahti hai

chune ki agar koshish bhi karu, jaane kyu sakpakye rehti hai

ek dard sa deti hai ya khud hi kuch sehti hai,

rishtoo ki uljhano mai ye kyu behti rehti hai

kabhi sahti hai toh kabhi kehti hai

aur kabhi confuse si rehti hai

kabhi dard ko muskurahtoo ke peeche dekhlati rahti hai

aur kabhi aankho se chupchap bahti hai

ek saawal phir mujhe se hi kahti hai

"jaane takdeer kyu ruthi si dikhye deti hai ?"

Tuesday, January 8, 2008

serious

Woh kehte hai ki hum life ko serious nahi lete,
Aur hume gila hai ki life humko seriously nahi leti.

Thursday, January 3, 2008

khota bachpan


Unke haathon mai kitabo ki jagah banduke aa rahi hai,
ye nayi peedhi vikas ki kaun si nayi ibarat likhne ja rahi!

haatho mai pen pencils ki jagah banduke utha rahi hai,
ye nayi peedhi vikas ki kaun si nayi ibarat likhne ja rahi!

Paise ki chaka chondh se ye bach nahi pa rahi hai.

bat aur ball ki jagah banduke utha rahi hai,

ye nayi peedhi vikas ki kaun si nayi ibarat likhne ja rahi!

drugs ke nashe mai ye ladkhada rahi hai,
ma-baap ke haatho se chuthti ja rahi hai,
paise ki maara mari se ye gur ra rahi hai,

ye nayi peedhi vikas ki kaun si nayi ibarat likhne ja rahi!